Har business ko ek bank account chaiye transactions keliye. Iske kai fayde hai jaise ke vendors se payment lena, utility bills, employee ki salary dena, wagehra.
Ek business bank account hone ke aur fayde:
- Current account accounting aur business transactions ko track karneme madad karta hai.
- Ek business account ITR file karneme bhi madad karta hai.
- Yeh apki company ki image ko bhi badhaneme me madad karta hai.
- Current account NEFT, RTGS, aur net-banking jaisi suvidha bhi deta hai.
Ek sahi Bank account kaise chune:
- Apke aas pas jo bhi banks hai unhe visit kare aur unki services ki jaanch kare.
- Ek aisa bank chune jiski services se apko fayda hoga aur transactions karneka samay bhi bachega.
Business bank account kaise open kiya jasakta hai?
- Pehle to bank account form bhare.
- Apko iske bad shayad ek declaration bhi bharnapade jo yeh batata hai ke apne saare rules achese padhe hai.
- Apko KYC documents jaise ke PAN card, utility licence, business registration certificate, company address, etc, bhi dene padenge.
Isliye, ek aisa bank chune jisme zyada bank charges na dene pade.
Agar ap apne business keliye loan chahte hai to Gromor Finance ko contact kijiye kam byaj par loan keliye!